Ammi aur Abba mujhe maaf karo
Kal main gussa hua aap logon pe yaad karu
To rona aa jata hain kya karu aapke wajah yahan par hoon
Phir se kabhi hoga ni ye galti mujhe maaf karo
Itne pyare maa baap mile, Shukriya
Ya Allah tauba karta hoon main unhe dukh diya
Mere abba jitna koi idhar smart nai hain
Mere record label ae wo
Mere liye choose kiya independent rasta
Wo bole ispe chal
Sunta unki aaj bhi
Haan isliye hoon safal
Khushi kya hain mere liye
Paisa, izzat, shohrat nai
Bas hasta dikhe mujhe
Mere maa baap ka shakal
Haan… Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo pyare ammi abba
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo pyare ammi abba
Haan… Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo pyare ammi abba
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo na na, na na na na
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo pyare ammi abba
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo na na, na na na na
Asal hustler mere abba
Khud ka business toh banaya (OG)
Mushkil ghadi mein
Tune chill hona sikhaya
Sirf 200 rupay the tere jeb mein
Ghar ke kharche ke liye
Phir bhi tune khilona dilaya
Socha nahi kharcha kaise nikalunga (Kabhi nai)
Beta jo bhi mange use dila dunga (Hamesha)
Haan rote rote likhra hoon ye wala verse main (Haan)
Khuda ne chaha poora duniya tumhe dila dunga (Sab Kuch)
Chilla dunga beat pe
Haan, bohat mushkil jhela tu
Bachpan se ghar chalara
Hath gaadi dhakela tu
Kyunki bina abba ke bada hua akele tu
Mera role model kon pucho? Aata pehla tu
Faila doon chhati tera, karwana hain proud tujhe
King mere life ka haan pehna doon ye Crown tujhe
Mohd Bilal Gani Mohd Yunus Shaikh
Ye naam humesha top pe
Na hone dunga down tujhe…
Haan… Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo pyare ammi abba
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo na na, na na na na
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo pyare ammi abba
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo na na, na na na na
Afreen Shaikh naam mummy ka
Pyaar se bulate hain shardha
Maalum mujhe mummy tera life kitna hard tha
Bachpan se maa ka role nibha rahi tu
Geele zameen pe tu soti thi
Haan mitti ka deewar tha
Haan bhaar tha sar pe tere
Fir bhi itna pyar diya
Bhai diya V-Break
Ek sacha wala yaar diya
Pyar kaise karte hain koi bacho se
Haan sikhe tujhse
Pyar ne bhi pyaar seekha
Tune utna pyaar kiya
Kya kiya tune
Ek verse mein batau kaise
Laptop dilaya gullak todke
Jo jama the paise
Poore ghar ka kaam
Tu karte karte thak jaati
Fir bhi tuna battati
Mummy pe likh daalu essay
Kaafi aaye door, mummy meri bahadur
Strong women hain wo halaatein tu na pooch
Chhoda padhai taaki tera ghar chalaye tu
Zindagi se shiksha leke mujhe wo hi sikhaye tu
Laayi tu mujhe is duniya mein, shukriya
Warna main ye gaana kabhi likhra hi na hota
Aaj Rani jaisa life diya tujhe khud khuda ne mujhe blesse karke
Warna main sukoon se na sota
Hota jo bhi life mein
Us pe sabar kar
Tujhe dekh ke ye seekha
Kitne baar rote dekha
Bas bhool ja
Jo purani thi zindagi
Teri hansi ke liye
Idhar gaane likh raha tera beta
Haan… Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo pyare ammi abba
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo na na, na na na na
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo pyare ammi abba
Mujhe maaf karo, mujhe maaf karo
Mujhe maaf karo na na, na na na na
More songs by Emiway Bantai